aa.ine meñ ḳhud apnā chehrā hai
phir bhī kyuuñ ajnabī sā lagtā hai
jis pe insāniyat ko naaz thā kal
ab vo sab se baḌā darinda hai
fikr bhī hai ajiib sā jañgal
jis kā mausam badaltā rahtā hai
kaise apnī giraft meñ aa.e
āgahī ik basīt dariyā hai
is meñ zulmat panap nahīñ saktī
zehn sūraj kī taab rakhtā hai
vo samajhtā hai aa.ine kī bisāt
jis ne patthar kabhī tarāshā hai
kyā hamārī vafā-shi.ārī se
har jagah intishār barpā hai
aaine mein KHud apna chehra hai
phir bhi kyun ajnabi sa lagta hai
jis pe insaniyat ko naz tha kal
ab wo sab se baDa darinda hai
fikr bhi hai ajib sa jangal
jis ka mausam badalta rahta hai
kaise apni giraft mein aae
aagahi ek basit dariya hai
is mein zulmat panap nahin sakti
zehn suraj ki tab rakhta hai
wo samajhta hai aaine ki bisat
jis ne patthar kabhi tarasha hai
kya hamari wafa-shiari se
har jagah intishaar barpa hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment