Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pramod Pundhir Pyaasa

  • Ghazal


KHat adhure the magar wo chiTThiyan achchhi lagin


ḳhat adhūre the magar vo chiTThiyāñ achchhī lagīñ
kāġhazoñ se hī sahī nazdīkiyāñ achchhī lagīñ

zikr meñ bhī naam un kā ham na le paa.e kabhī
pyaar meñ in bandishoñ kī chuppiyāñ achchhī lagīñ

raat bhī ḳhāmosh thī aur chāñd bhī ġhamgīn thā
aañkh meñ Dore liye vo surḳhiyāñ achchhī lagīñ

chaak ḳhud hī ho ga.ī is baaġh ke hī baam par
uf talak nā kar sakīñ jo titliyāñ achchhī lagīñ

phuul shāḳhoñ par palak nam os se karte rahe
par hameñ to ḳhaar kī vo barchhiyāñ achchhī lagīñ

āsmāñ ne dhuup kī jab gungunā.ī hai ġhazal
vo hameñ nūr-e-sahar kī sardiyāñ achchhī lagīñ

pattharoñ meñ bāñdh kar ke pheñknā chhat par mirī
raat meñ aatī huī vo parchiyāñ achchhī lagīñ

KHat adhure the magar wo chiTThiyan achchhi lagin
kaghazon se hi sahi nazdikiyan achchhi lagin

zikr mein bhi nam un ka hum na le pae kabhi
pyar mein in bandishon ki chuppiyan achchhi lagin

raat bhi KHamosh thi aur chand bhi ghamgin tha
aankh mein Dore liye wo surKHiyan achchhi lagin

chaak KHud hi ho gai is bagh ke hi baam par
uf talak na kar sakin jo titliyan achchhi lagin

phul shaKHon par palak nam os se karte rahe
par hamein to KHar ki wo barchhiyan achchhi lagin

aasman ne dhup ki jab gungunai hai ghazal
wo hamein nur-e-sahar ki sardiyan achchhi lagin

pattharon mein bandh kar ke phenkna chhat par meri
raat mein aati hui wo parchiyan achchhi lagin


Leave a comment

+