Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prakhar Malviya Kanha

  • Ghazal


pichhli tariKH ka aKHbar sambhaale hue hain


pichhlī tārīḳh kā aḳhbār sambhāle hue haiñ
unkī tasvīr ko be-kār sambhāle hue haiñ

yaar is umr meñ ghuñghrū kī sadā.eñ chunte
aap zanjīr kī jhankār sambhāle hue haiñ

ham se hī laḌtā-jhagaḌtā hai ye būḌhā sā makāñ
ham hī girtī huī dīvār sambhāle hue haiñ

yaar ab tak na milā chhor hameñ duniyā kā
roz-e-avval hī se raftār sambhāle hue haiñ

jin ke pairoñ se nikāle the kabhī ḳhaar bahut
haiñ muḳhālif vahī talvār sambhāle hue haiñ

log pal bhar meñ hī uktā ga.e jis se 'kānhā'
ham hī barsoñ se vo kirdār sambhāle hue haiñ

pichhli tariKH ka aKHbar sambhaale hue hain
unki taswir ko be-kar sambhaale hue hain

yar is umr mein ghunghru ki sadaen chunte
aap zanjir ki jhankar sambhaale hue hain

hum se hi laDta-jhagaDta hai ye buDha sa makan
hum hi girti hui diwar sambhaale hue hain

yar ab tak na mila chhor hamein duniya ka
roz-e-awwal hi se raftar sambhaale hue hain

jin ke pairon se nikale the kabhi KHar bahut
hain muKHalif wahi talwar sambhaale hue hain

log pal bhar mein hi ukta gae jis se 'kanha'
hum hi barson se wo kirdar sambhaale hue hain


Leave a comment

+