sāgar bhī to qatra niklā
jo āñkhoñ se bahtā niklā
bolo ab tum kyā kahte ho
maiñ is baar bhī sachchā niklā
dil to ḳhair pareshāñ thā hī
zehn bhī merā uljhā niklā
Duub gayā shab ke dariyā meñ
chāñd bhī bas ik qatra niklā
shaam huī to dil meñ lauTā
dard bhī ek parinda niklā
mujh se kis ne bāteñ kī thiiñ
sannāTā to gūñgā niklā
us ke aañsū merī ḳhushiyāñ
ye saudā bhī mahñgā niklā
'kānhā' royā aaj maiñ jī bhar
dil kā ik ik kāñTā niklā
sagar bhi to qatra nikla
jo aankhon se bahta nikla
bolo ab tum kya kahte ho
main is bar bhi sachcha nikla
dil to KHair pareshan tha hi
zehn bhi mera uljha nikla
Dub gaya shab ke dariya mein
chand bhi bas ek qatra nikla
sham hui to dil mein lauTa
dard bhi ek parinda nikla
mujh se kis ne baaten ki thin
sannaTa to gunga nikla
us ke aansu meri KHushiyan
ye sauda bhi mahnga nikla
'kanha' roya aaj main ji bhar
dil ka ek ek kanTa nikla
Leave a comment