Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prakhar Malviya Kanha

  • Ghazal


main na soya raat sari tum kaho


maiñ na soyā raat saarī tum kaho
bin mire kaise guzārī, tum kaho

hijr, āñsū, dard, ā.heñ, shā.erī
ye to bāteñ thiiñ hamārī, tum kaho

haal mat pūchho mirā, ye haal hai
jism apnā, jaañ udhārī, tum kaho

rakh do bas mere laboñ pe uñgliyāñ
maiñ sunūñgā raat sārī, tum kaho

phir kabhī apnī sunā.ūñgā tumheñ
aaj sunñī hai tumhārī, tum kaho

rok lo 'kānha' use jaatā hai vo
vo nahīñ suntā hamārī, tum kaho

main na soya raat sari tum kaho
bin mere kaise guzari, tum kaho

hijr, aansu, dard, aahen, shaeri
ye to baaten thin hamari, tum kaho

haal mat puchho mira, ye haal hai
jism apna, jaan udhaari, tum kaho

rakh do bas mere labon pe ungliyan
main sununga raat sari, tum kaho

phir kabhi apni sunaunga tumhein
aaj sunni hai tumhaari, tum kaho

rok lo 'kanha' use jata hai wo
wo nahin sunta hamari, tum kaho


Leave a comment

+