tīrgī kī apnī zid hai jugnuoñ kī apnī zid
Thokaroñ kī apnī zid hai hausloñ kī apnī zid
kaun sā qissa sunā.ūñ aap ko mushkil ye hai
āñsuoñ kī apnī zid hai qahqahoñ kī apnī zid
giit mere chuum ā.eñge tumheñ ban kar sabā
sarhadoñ kī apnī zid hai hasratoñ kī apnī zid
rāstoñ ne ḳhuub samjhāyā ulajhnā mat magar
rahzanoñ kī apnī zid hai rahbaroñ kī apnī zid
haa.e Tapkā hai lahū phir aaj ke aḳhbār se
chāquoñ kī apnī zid hai pasliyoñ kī apnī zid
dhaḌkanoñ kī baat mānūñ yā ki ā.īñe kī ab?
aarzū kī apnī zid hai jhurriyoñ kī apnī zid
tirgi ki apni zid hai jugnuon ki apni zid
Thokaron ki apni zid hai hauslon ki apni zid
kaun sa qissa sunaun aap ko mushkil ye hai
aansuon ki apni zid hai qahqahon ki apni zid
git mere chum aaenge tumhein ban kar saba
sarhadon ki apni zid hai hasraton ki apni zid
raston ne KHub samjhaya ulajhna mat magar
rahzanon ki apni zid hai rahbaron ki apni zid
hae Tapka hai lahu phir aaj ke aKHbar se
chaquon ki apni zid hai pasliyon ki apni zid
dhaDkanon ki baat manun ya ki aaine ki ab?
aarzu ki apni zid hai jhurriyon ki apni zid
Leave a comment