Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pallavi Mishra

  • Ghazal


aalam mahak raha tu guzre jahan jahan hai


aalam mahak rahā tū guzre jahāñ jahāñ hai
terā jo kārvāñ hai ḳhushbū kā kārvāñ hai

ik ḳhvāb ham ne dekhā ḳhush-hāl gulsitāñ hai
aur saath ye bhī dekhā ḳhush-hāl bāġhbāñ hai

shāyad mirī nazar meñ ashkoñ kā qāfila hai
kuchh saaf dikh na paa.e sab kuchh dhuāñ dhuāñ hai

daulat ke hai nashe meñ rishtoñ kī ahmiyat ko
samjhāne kī hamārī koshish bhī rā.egāñ hai

ham bhī idhar haiñ rūThe vo bhī udhar ḳhafā hai
ab baat ho to kaise tanhā.ī darmiyāñ hai

ye husn kī adā bhī ham ko samajh na aatī
thoḌī sī bas ayaañ hai baaqī to sab nihāñ hai

be-ghar bhale hai lekin hañs ke vo kah rahā hai
bistar mirī zamīñ hai chhat merā āsmāñ hai

aalam mahak raha tu guzre jahan jahan hai
tera jo karwan hai KHushbu ka karwan hai

ek KHwab hum ne dekha KHush-haal gulsitan hai
aur sath ye bhi dekha KHush-haal baghban hai

shayad meri nazar mein ashkon ka qafila hai
kuchh saf dikh na pae sab kuchh dhuan dhuan hai

daulat ke hai nashe mein rishton ki ahmiyat ko
samjhane ki hamari koshish bhi raegan hai

hum bhi idhar hain ruThe wo bhi udhar KHafa hai
ab baat ho to kaise tanhai darmiyan hai

ye husn ki ada bhi hum ko samajh na aati
thoDi si bas ayan hai baqi to sab nihan hai

be-ghar bhale hai lekin hans ke wo kah raha hai
bistar meri zamin hai chhat mera aasman hai


Leave a comment

+