Subscribe to our newsletter and get our newest updates

P P Srivastava Rind

  • Ghazal


andhere band kamron mein paDe the


añdhere band kamroñ meñ paḌe the
ujāle sair par nikle hue the

gharoñ meñ khāñstī tanhā.iyāñ thiiñ
ye sannāTe purānī nasl ke the

havas kī bastiyāñ ātish-zada thiiñ
baḌe kaḌve-kisīle vāqiye the

sadā.eñ jhīñguroñ kī baḌh rahī thiiñ
añdhere sīḌhiyāñ chaḌhne lage the

suhāgan the mirī bastī ke mausam
khanaktī chūḌiyāñ pahne hue the

dhuāñ paanī bagūle dhuup tūfāñ
ye ajzā to hamāre jism ke the

añdherī raat ke saada varaq par
ḳharābe dāstāñ likhne lage the

bhaTakne ke liye jab 'riñd' nikle
kahāñ jaanā hai raste pūchhte the

andhere band kamron mein paDe the
ujale sair par nikle hue the

gharon mein khansti tanhaiyan thin
ye sannaTe purani nasl ke the

hawas ki bastiyan aatish-zada thin
baDe kaDwe-kisile waqiye the

sadaen jhinguron ki baDh rahi thin
andhere siDhiyan chaDhne lage the

suhagan the meri basti ke mausam
khanakti chuDiyan pahne hue the

dhuan pani bagule dhup tufan
ye ajza to hamare jism ke the

andheri raat ke sada waraq par
KHarabe dastan likhne lage the

bhaTakne ke liye jab 'rind' nikle
kahan jaana hai raste puchhte the

RECITATIONS P P Srivastava Rind



00:00/00:00 andhere band kamron mein paDe the P P Srivastava Rind

Leave a comment

+