mujhe ai zindagī āvāz mat de
nahīñ manzil koī parvāz mat de
jiye jaatā huuñ aadat ban chukī hai
nahīñ sur lagte yārab saaz mat de
nayā hai ruup aalam kā ḳhudāyā
anokhā ab mujhe andāz mat de
natīja jāntā huuñ dil-lagī kā
sazā.eñ fāḳhta ko baaz mat de
pas-e-parda rahā hai bhed ab tak
nahīñ hāmil unheñ tū raaz mat de
rahā anjām hai jinkī nazar meñ
unheñ jo chāhe de āġhāz mat de
nibhāyā farz hī kab hukmarāñ kā
kisī qātil ko tū e.azāz mat de
mujhe ai zindagi aawaz mat de
nahin manzil koi parwaz mat de
jiye jata hun aadat ban chuki hai
nahin sur lagte yarab saz mat de
naya hai rup aalam ka KHudaya
anokha ab mujhe andaz mat de
natija jaanta hun dil-lagi ka
sazaen faKHta ko baz mat de
pas-e-parda raha hai bhed ab tak
nahin hamil unhen tu raaz mat de
raha anjam hai jinki nazar mein
unhen jo chahe de aaghaz mat de
nibhaya farz hi kab hukmaran ka
kisi qatil ko tu eazaz mat de
RECITATIONS
Ozair Rahman
00:00/00:00
mujhe ai zindagi aawaz mat de
Ozair Rahman
Leave a comment