Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Owais Ahmad Dauran

  • Ghazal


ghamgin hain dil-figar hain mere yahan ke log


ġhamgīñ haiñ dil-figār haiñ mere yahāñ ke log
dāmān-e-tār-tār haiñ mere yahāñ ke log

paidā kiyā hai jhūTe masīhāoñ ne jise
us dard ke shikār haiñ mere yahāñ ke log

kyā jāniye haiñ kab se jigar soḳhta magar
insāñ ke ġham-gusār haiñ mere yahāñ ke log

gardan agarche ḳham hai itā.at ke bojh se
lekin harīf-e-dār haiñ mere yahāñ ke log

'daurāñ' inhī ke zaḳhm se phūTegī raushnī
maanā ki sogvār haiñ mere yahāñ ke log

ghamgin hain dil-figar hain mere yahan ke log
daman-e-tar-tar hain mere yahan ke log

paida kiya hai jhuTe masihaon ne jise
us dard ke shikar hain mere yahan ke log

kya jaaniye hain kab se jigar soKHta magar
insan ke gham-gusar hain mere yahan ke log

gardan agarche KHam hai itaat ke bojh se
lekin harif-e-dar hain mere yahan ke log

'dauran' inhi ke zaKHm se phuTegi raushni
mana ki sogwar hain mere yahan ke log


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+