Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Owais Ahmad Dauran

  • Ghazal


tumhi sardar ho gulshan ke ye batla dena


tumhī sardār ho gulshan ke ye batlā denā
koī ham-sar ho to dīvār meñ chunvā denā

mutlaq-ul-hukm haiñ sab in dinoñ ghabrā.e hue
ye ḳhabar us ke huzūr aaj hī pahuñchā denā

sar uThā.egā zamāna ye kahe detā huuñ
jūñhī aisā ho use daar par khiñchvā denā

mere tārīk makāñ meñ use hogī taklīf
ai sabā us ko gulistāñ hī meñ Thahrā denā

us kisī chiiz pe bhūle se bhī machlā na kare
mere 'daurāñ' dil-e-pur-ḳhūñ ko ye samjhā denā

tumhi sardar ho gulshan ke ye batla dena
koi ham-sar ho to diwar mein chunwa dena

mutlaq-ul-hukm hain sab in dinon ghabrae hue
ye KHabar us ke huzur aaj hi pahuncha dena

sar uThaega zamana ye kahe deta hun
junhi aisa ho use dar par khinchwa dena

mere tarik makan mein use hogi taklif
ai saba us ko gulistan hi mein Thahra dena

us kisi chiz pe bhule se bhi machla na kare
mere 'dauran' dil-e-pur-KHun ko ye samjha dena


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+