Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Owais Ahmad Dauran

  • Ghazal


is daur ne baKHshe hain duniya ko ajab tohfe


is daur ne baḳhshe haiñ duniyā ko ajab tohfe
ghabrā.e hue paikar uktā.e hue chehre

kuchh dard ke maare haiñ kuchh naaz ke haiñ paale
kuchh log haiñ ham jaise kuchh log haiñ tum jaise

har gaañv suhānā ho har shahr chamak uTThe
dil kī ye tamannā hai puurī ho magar kaise

biphrī huī duniyā ne patthar to bahut pheñke
ye shīsh-mahal lekin ai dost kahāñ TuuTe

yūñhī to nahīñ bahtī ye dhaar lahū jaisī
is baar fazāoñ se ḳhanjar hī bahut barse

kyuuñ aag bhaḌak uTThī shā.er ke ḳhayāloñ kī
ye raaz kī bāteñ haiñ nādān tū kyā jaane

sau baar sunā ham ne sau baar hañsī aa.ī
vo kahte haiñ patthar ko ham mom banā deñge

phir gosh-e-tasavvur meñ abbā kī sadā aa.ī
phir us ne dar-e-dil pe āvāz dī chupke se

is ḳhaak pe bikhrā hai ik phuul hamārā bhī
jab bād-e-sabā aa.e kuchh der yahāñ Thahre

afsāna-numā koī rūdād nahīñ merī
jhāñkā na kabhī maiñ ne ḳhvāboñ ke darīche se

mushkil hai ye 'daurāñ' is bhiiḌ ko samjhānā
muḌ muḌ ke jo rahzan se manzil kā pata pūchhe

is daur ne baKHshe hain duniya ko ajab tohfe
ghabrae hue paikar uktae hue chehre

kuchh dard ke mare hain kuchh naz ke hain pale
kuchh log hain hum jaise kuchh log hain tum jaise

har ganw suhana ho har shahr chamak uTThe
dil ki ye tamanna hai puri ho magar kaise

biphri hui duniya ne patthar to bahut phenke
ye shish-mahal lekin ai dost kahan TuTe

yunhi to nahin bahti ye dhaar lahu jaisi
is bar fazaon se KHanjar hi bahut barse

kyun aag bhaDak uTThi shaer ke KHayalon ki
ye raaz ki baaten hain nadan tu kya jaane

sau bar suna hum ne sau bar hansi aai
wo kahte hain patthar ko hum mom bana denge

phir gosh-e-tasawwur mein abba ki sada aai
phir us ne dar-e-dil pe aawaz di chupke se

is KHak pe bikhra hai ek phul hamara bhi
jab baad-e-saba aae kuchh der yahan Thahre

afsana-numa koi rudad nahin meri
jhanka na kabhi main ne KHwabon ke dariche se

mushkil hai ye 'dauran' is bhiD ko samjhana
muD muD ke jo rahzan se manzil ka pata puchhe


Source: Book : Ababeel (Pg. 82) Author : Owais Ahmad Dauran Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1986) Edition : 1986

Leave a comment

+