saḳht vahshī huuñ bilā-vaj.h biphar jaatā huuñ
is liye apnī taraf jā.ūñ to Dar jaatā huuñ
ek hī tarz kī vahshat se bhare rahte haiñ
maiñ agar dasht nahīñ jaatā to ghar jaatā huuñ
chaar chhe inch kī duurī se mirā saayā mujhe
ik sadā detā hai maiñ bār-e-digar jaatā huuñ
ba.az auqāt udāsī ko manāne ke liye
apne hone kī dalīloñ se mukar jaatā huuñ
lafz bunte hue aatā huuñ saḌak par aur phir
jaane kyā dhyān meñ aatā hai Thahar jaatā huuñ
ghar se daftar gayā daftar se ghar aayā ab dasht
vaise bantā to nahīñ jaanā magar jaatā huuñ
saKHt wahshi hun bila-wajh biphar jata hun
is liye apni taraf jaun to Dar jata hun
ek hi tarz ki wahshat se bhare rahte hain
main agar dasht nahin jata to ghar jata hun
chaar chhe inch ki duri se mera saya mujhe
ek sada deta hai main bar-e-digar jata hun
baz auqat udasi ko manane ke liye
apne hone ki dalilon se mukar jata hun
lafz bunte hue aata hun saDak par aur phir
jaane kya dhyan mein aata hai Thahar jata hun
ghar se daftar gaya daftar se ghar aaya ab dasht
waise banta to nahin jaana magar jata hun
Leave a comment