Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Osama Khalid

  • Ghazal


Thik hai in dinon KHud par zara ghussa hun main


Thiik hai in dinoñ ḳhud par zarā ġhussa huuñ maiñ
phir bhī apnī sabhī harkāt ko taktā huuñ maiñ

aañkh kī mez pe rakkhā hai mirā ḳhvāb-e-safar
aur bistar pe shikan Daal ke soyā huuñ maiñ

maslahat DhūñDte phirte ho sabhī kāmoñ meñ
tum ko bīmār nahīñ lagtā to achchhā huuñ maiñ

vaqt-e-vahshat mujhe pahchān nahīñ paatā koī
phir batātā huuñ fulāñ shaḳhs kā beTā huuñ maiñ

tum jo chāho to mujhe peḌ kā hissa kar do
varna pairoñ tale rauñdā huā pattā huuñ maiñ

chand lamhoñ kā dhuāñ aks meñ tabdīl huā
aur maiñ jhuum ke kahne lagā dekhā huuñ maiñ

saḳht bīmārī meñ rakhtā huuñ ḳhayāl aap apnā
ḳhud se ḳhud pūchhtā rahtā huuñ ki kaisā huuñ maiñ

Thik hai in dinon KHud par zara ghussa hun main
phir bhi apni sabhi harkat ko takta hun main

aankh ki mez pe rakkha hai mera KHwab-e-safar
aur bistar pe shikan Dal ke soya hun main

maslahat DhunDte phirte ho sabhi kaamon mein
tum ko bimar nahin lagta to achchha hun main

waqt-e-wahshat mujhe pahchan nahin pata koi
phir batata hun fulan shaKHs ka beTa hun main

tum jo chaho to mujhe peD ka hissa kar do
warna pairon tale raunda hua patta hun main

chand lamhon ka dhuan aks mein tabdil hua
aur main jhum ke kahne laga dekha hun main

saKHt bimari mein rakhta hun KHayal aap apna
KHud se KHud puchhta rahta hun ki kaisa hun main


Leave a comment

+