Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Om Prakash Meghwanshi

  • Ghazal


ek nam hi ke bais adab hai kamal hai


ek naam hī ke baa.is adab hai kamāl hai
dikhtā nahīñ hai phir bhī vo rab hai kamāl hai

hote hue bhī merā yahāñ kuchh nahīñ aziiz
vo hai nahīñ par us kā ye sab hai kamāl hai

maiñ ḳhaak thā so ḳhaak ko phir ḳhaak honā hai
ye vāqi.a bhī dukh kā sabab hai kamāl hai

ek nam hi ke bais adab hai kamal hai
dikhta nahin hai phir bhi wo rab hai kamal hai

hote hue bhi mera yahan kuchh nahin aziz
wo hai nahin par us ka ye sab hai kamal hai

main KHak tha so KHak ko phir KHak hona hai
ye waqia bhi dukh ka sabab hai kamal hai


Leave a comment

+