Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Om Parkash Bajaj

  • Ghazal


jab kabhi teri yaad aai hai


jab kabhī terī yaad aa.ī hai
har kalī dil kī muskurā.ī hai

dil ne bas terī aarzū ke tufail
har ḳhushī zindagī kī paa.ī hai

sū-e-tūfāñ dhakel dī ham ne
naav sāhil pe jab bhī aa.ī hai

sirf tum ho mire zamāne meñ
varna har shai yahāñ parā.ī hai

kho ke ḳhud ko tirī mohabbat meñ
be-ḳhudī be-panāh paa.ī hai

-jāda-e-manzil-e-mohabbat meñ
dil ne sau baar choT khaa.ī hai

phuul kaliyoñ kā zikr kar ke 'bajāj'
dāstāñ terī hī sunā.ī hai

jab kabhi teri yaad aai hai
har kali dil ki muskurai hai

dil ne bas teri aarzu ke tufail
har KHushi zindagi ki pai hai

su-e-tufan dhakel di hum ne
naw sahil pe jab bhi aai hai

sirf tum ho mere zamane mein
warna har shai yahan parai hai

kho ke KHud ko teri mohabbat mein
be-KHudi be-panah pai hai

-jada-e-manzil-e-mohabbat mein
dil ne sau bar choT khai hai

phul kaliyon ka zikr kar ke 'bajaj'
dastan teri hi sunai hai


Source: Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 80) Publication : Raghu Nath suhai ummid

Leave a comment

+