Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Om Krishn Rahat

  • Ghazal


dawar-e-hashr zara aur baDhe baat ki bas


dāvar-e-hashr zarā aur baḌhe baat ki bas
mujh se kuchh aur bhī pūchheñge savālāt ki bas

jis ko sun kar kabhī ḳhush hote ho nārāz kabhī
aap farmā.eñ ki dohrā.ūñ vahī baat ki bas

kyā maiñ ab chhoḌ duuñ yārab yahīñ ummīd kā saath
kyā abhī aur Thahar saktī hai ye raat ki bas

zindagī kyā isī uljhan meñ guzar jā.egī
kyā abhī aur bhī bigḌeñge ye hālāt ki bas

ye qayāmat kī ghaḌī sar se Talegī yārab
haiñ dikhāne ko abhī aur kamālāt ki bas

dawar-e-hashr zara aur baDhe baat ki bas
mujh se kuchh aur bhi puchhenge sawalat ki bas

jis ko sun kar kabhi KHush hote ho naraaz kabhi
aap farmaen ki dohraun wahi baat ki bas

kya main ab chhoD dun yarab yahin ummid ka sath
kya abhi aur Thahar sakti hai ye raat ki bas

zindagi kya isi uljhan mein guzar jaegi
kya abhi aur bhi bigDenge ye haalat ki bas

ye qayamat ki ghaDi sar se Talegi yarab
hain dikhane ko abhi aur kamalat ki bas


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 382) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14

Leave a comment

+