rahtā to hai us bazm meñ charchā mire dil kā
achchhā hai ye achchhā ho na saudā mire dil kā
hai josh-e-qalaq ma.arka-ārā mire dil kā
hañgāma hai dil par mire barpā mire dil kā
hai sair nigāhoñ meñ shabistān adū kī
kyā mujh se chhupāte ho tamāshā mire dil kā
ik mashġhala Thahrī hai tumheñ ranjish-e-bejā
ik khel huā tum ko satānā mire dil kā
be-ḳhud huuñ tasavvur meñ kisī barq-e-adā ke
sarmāya-e-taskīñ hai taḌapnā mire dil kā
barbād na jā.egī 'zahīr' apnī musībat
āḳhir to kahīñ sabr paḌegā mire dil kā
rahta to hai us bazm mein charcha mere dil ka
achchha hai ye achchha ho na sauda mere dil ka
hai josh-e-qalaq marka-ara mere dil ka
hangama hai dil par mere barpa mere dil ka
hai sair nigahon mein shabistan adu ki
kya mujh se chhupate ho tamasha mere dil ka
ek mashghala Thahri hai tumhein ranjish-e-beja
ek khel hua tum ko satana mere dil ka
be-KHud hun tasawwur mein kisi barq-e-ada ke
sarmaya-e-taskin hai taDapna mere dil ka
barbaad na jaegi 'zahir' apni musibat
aaKHir to kahin sabr paDega mere dil ka
Source: Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 192) Author : Hasrat Mohani Publication : uttar pradesh urdu academy (1983) Edition : 1983
Leave a comment