Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidurrahman Niyazi

  • Ghazal


sari duniya ganwa ke baiTha hun


saarī duniyā gañvā ke baiThā huuñ
apnī duniyā banā ke baiThā huuñ

umr bhar kī thakān ho ga.ī hai
ek lamha bitā ke baiThā huuñ

TuuTā patā huuñ aur ye sochtā huuñ
kis se dāman chhuḌā ke baiThā huuñ

kyā ḳhabar koī rañg bhar hī de
chand ḳhāke banā ke baiThā huuñ

ek bhaTkā huā parinda huuñ
Daal par sar jhukā ke baiThā huuñ

koī aa.egā to jalā degā
dil kī battī bujhā ke baiThā huuñ

ab koī aur khel pesh karo
zindagī aazmā ke baiThā huuñ

sari duniya ganwa ke baiTha hun
apni duniya bana ke baiTha hun

umr bhar ki thakan ho gai hai
ek lamha bita ke baiTha hun

TuTa pata hun aur ye sochta hun
kis se daman chhuDa ke baiTha hun

kya KHabar koi rang bhar hi de
chand KHake bana ke baiTha hun

ek bhaTka hua parinda hun
Dal par sar jhuka ke baiTha hun

koi aaega to jala dega
dil ki batti bujha ke baiTha hun

ab koi aur khel pesh karo
zindagi aazma ke baiTha hun


Leave a comment

+