Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidurrahman Niyazi

  • Ghazal


main jo murda hun jiyunga ek roz


maiñ jo murda huuñ jiyūñgā ik roz
tujh se maiñ aan milūñgā ik roz

qaid haiñ mujh meñ bahut se tūfāñ
tū milegā to khulūñgā ik roz

shor aatā hai nahīñ suntā maiñ
terī āvāz sunūñgā ik roz

maiñ to barsoñ se chhupā baiThā huuñ
tū ne DhūñDā to milūñgā ik roz

jo huā thā vo huā thā kyūñkar
tujh se maiñ baat karūñgā ik roz

maiñ tire naqsh nahīñ sah paayā
kyā tujhe dekh sakūñgā ik roz

main jo murda hun jiyunga ek roz
tujh se main aan milunga ek roz

qaid hain mujh mein bahut se tufan
tu milega to khulunga ek roz

shor aata hai nahin sunta main
teri aawaz sununga ek roz

main to barson se chhupa baiTha hun
tu ne DhunDa to milunga ek roz

jo hua tha wo hua tha kyunkar
tujh se main baat karunga ek roz

main tere naqsh nahin sah paya
kya tujhe dekh sakunga ek roz


Leave a comment

+