dilbar-e-be-bāk suuñ ḳhuub nahīñ bolnā
shoḳh sitam-nāk suuñ ḳhuub nahīñ bolnā
dast meñ ḳhanjar pakaḌ niklā hai vo ġhussa-var
haath ke chālāk suuñ ḳhuub nahīñ bolnā
abtar-e-ḳhūñ-rez hai qatl upar tez hai
zālim-o-saffāk suuñ ḳhuub nahīñ bolnā
us kī jafā siiñ tamām jag meñ paḌī dhūm-dhām
ham jam-o-zahhāk suuñ ḳhuub nahīñ bolnā
mujh se raqīb-o-la.īñ jiiv meñ rakhtā hai kiiñ
us sag-e-nāpāk suuñ ḳhuub nahīñ bolnā
bul-havas-e-zisht-rū kartā hai nit guftugū
mard be-idrāk suuñ ḳhuub nahīñ bolnā
misra-e-matl.a sadā vird kare 'mubtalā'
dilbar-e-be-bāk suuñ ḳhuub nahīñ bolnā
dilbar-e-be-bak sun KHub nahin bolna
shoKH sitam-nak sun KHub nahin bolna
dast mein KHanjar pakaD nikla hai wo ghussa-war
hath ke chaalak sun KHub nahin bolna
abtar-e-KHun-rez hai qatl upar tez hai
zalim-o-saffak sun KHub nahin bolna
us ki jafa sin tamam jag mein paDi dhum-dham
hum jam-o-zahhak sun KHub nahin bolna
mujh se raqib-o-lain jiw mein rakhta hai kin
us sag-e-napak sun KHub nahin bolna
bul-hawas-e-zisht-ru karta hai nit guftugu
mard be-idrak sun KHub nahin bolna
misra-e-matla sada wird kare 'mubtala'
dilbar-e-be-bak sun KHub nahin bolna
Source: Dewan-e-mubtalaáEk Eham Go Shayar-Muqallid Waliâ
Leave a comment