un ko hāl-e-dil-e-pur-soz sunā kar uTThe
aur do-chār ke ghar aag lagā kar uTThe
tum ne pahlū meñ mire baiTh ke aafat Dhaa.ī
aur uThe bhī to ik hashr uThā kar uTThe
vāda-e-vasl se hai naash pe aane kī ummīd
muzhda-e-qatl mirā mujh ko sunā kar uTThe
muñh chhupāne meñ to hai sharm o hayā kā parda
haañ magar dil bhī nigah thā ki churā kar uTThe
aaj aa.e the ghaḌī bhar ko 'zahīr'-e-nākām
aap bhī ro.e hameñ saath rulā kar uTThe
un ko haal-e-dil-e-pur-soz suna kar uTThe
aur do-chaar ke ghar aag laga kar uTThe
tum ne pahlu mein mere baiTh ke aafat Dhai
aur uThe bhi to ek hashr uTha kar uTThe
wada-e-wasl se hai nash pe aane ki ummid
muzhda-e-qatl mera mujh ko suna kar uTThe
munh chhupane mein to hai sharm o haya ka parda
han magar dil bhi nigah tha ki chura kar uTThe
aaj aae the ghaDi bhar ko 'zahir'-e-nakaam
aap bhi roe hamein sath rula kar uTThe
RECITATIONS
Fasih Akmal
00:00/00:00
un ko haal-e-dil-e-pur-soz suna kar uTThe
Fasih Akmal
Leave a comment