Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Khan Mubtala

  • Ghazal


KHub hai aashiq sun mil rahna sajan


ḳhuub hai āshiq suuñ mil rahnā sajan
laaD us kā har ghaḌī sahnā sajan

apnī ḳhātir suuñ diyā mujh kuuñ bisār
kyā yahī thā tujh setī kahnā sajan

rāstī se tujh kuuñ karnā hai nibāh
haath jo pakḌā mirā dahnā sajan

mat pahan zevar apas siñgār kuuñ
mehr-o-mah kuuñ aib hai gahnā sajan

dil ne hushyārī kī kapḌe phaaḌ kar
ḳhil.at-e-dīvāngī pahnā sajan

āshiqāñ kā kaam hai jyuuñ ḳhār-o-ḳhas
shauq ke dariyāoñ meñ bahnā sajan

'mubtalā' kuuñ kho ki pachtāvegā tuuñ
hai mujhe vājib itā kahnā sajan

KHub hai aashiq sun mil rahna sajan
laD us ka har ghaDi sahna sajan

apni KHatir sun diya mujh kun bisar
kya yahi tha tujh seti kahna sajan

rasti se tujh kun karna hai nibah
hath jo pakDa mera dahna sajan

mat pahan zewar apas singar kun
mehr-o-mah kun aib hai gahna sajan

dil ne hushyari ki kapDe phaD kar
KHilat-e-diwangi pahna sajan

aashiqan ka kaam hai jyun KHar-o-KHas
shauq ke dariyaon mein bahna sajan

'mubtala' kun kho ki pachtawega tun
hai mujhe wajib ita kahna sajan


Source: Dewan-e-mubtalaáEk Eham Go Shayar-Muqallid Waliâ

Leave a comment

+