Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Aleem

  • Ghazal


main kaise jiyun gar ye duniya har aan nai taswir na ho


maiñ kaise jiyūñ gar ye duniyā har aan na.ī tasvīr na ho
ye aate jaate rañg na hoñ aur lafzoñ kī tanvīr na ho

ai rāh-e-ishq ke raahī sun chal aise safar kī lazzat meñ
tirī āñkhoñ meñ na.e ḳhvāb to hoñ par ḳhvāboñ kī ta.abīr na ho

ghar aa.uuñ yā bāhar jā.ūñ har ek fazā meñ mere liye
ik jhūTī sachchī chāhat ho rasmoñ kī koī zanjīr na ho

jaise ye mirī apnī sūrat mire sāmne ho aur kahtī ho
mire shā.er tere saath huuñ maiñ māyūs na ho dil-gīr na ho

koī ho to mohabbat aisī ho mujhe dhuup aur saa.e meñ jis ke
kisī jazbe kā āzār na ho kisī ḳhvāhish kī ta.azīr na ho

main kaise jiyun gar ye duniya har aan nai taswir na ho
ye aate jate rang na hon aur lafzon ki tanwir na ho

ai rah-e-ishq ke rahi sun chal aise safar ki lazzat mein
teri aankhon mein nae KHwab to hon par KHwabon ki tabir na ho

ghar aaun ya bahar jaun har ek faza mein mere liye
ek jhuTi sachchi chahat ho rasmon ki koi zanjir na ho

jaise ye meri apni surat mere samne ho aur kahti ho
mere shaer tere sath hun main mayus na ho dil-gir na ho

koi ho to mohabbat aisi ho mujhe dhup aur sae mein jis ke
kisi jazbe ka aazar na ho kisi KHwahish ki tazir na ho

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Obaidullah Aleem

Source: Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 53)

Leave a comment

+