Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Aleem

  • Ghazal


main jis mein kho gaya hun mera KHwab hi to hai


maiñ jis meñ kho gayā huuñ mirā ḳhvāb hī to hai
yak do nafas numūd sahī zindagī to hai

jaltī hai kitnī der havāoñ meñ mere saath
ik sham.a phir mire liye raushan huī to hai

jis meñ bhī Dhal ga.ī use mahtāb kar ga.ī
mere lahū meñ aisī bhī ik raushnī to hai

parchhā.iyoñ meñ Dūbtā dekhūñ bhī mahr-e-umr
aur phir bachā na pā.ūñ ye bechārgī to hai

tū bū-e-gul hai aur pareshāñ huā huuñ maiñ
donoñ meñ ek rishta-e-āvārgī to hai

ai ḳhvāb ḳhvāb umr-e-gurezāñ kī sā.ato
tum sun sako to baat mirī guftanī to hai

main jis mein kho gaya hun mera KHwab hi to hai
yak do nafas numud sahi zindagi to hai

jalti hai kitni der hawaon mein mere sath
ek shama phir mere liye raushan hui to hai

jis mein bhi Dhal gai use mahtab kar gai
mere lahu mein aisi bhi ek raushni to hai

parchhaiyon mein Dubta dekhun bhi mahr-e-umr
aur phir bacha na paun ye bechaargi to hai

tu bu-e-gul hai aur pareshan hua hun main
donon mein ek rishta-e-awargi to hai

ai KHwab KHwab umr-e-gurezan ki saato
tum sun sako to baat meri guftani to hai


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+