Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Aleem

  • Ghazal


jawani kya hui ek raat ki kahani hui


javānī kyā huī ik raat kī kahānī huī
badan purānā huā ruuh bhī purānī huī

koī aziiz nahīñ mā-sivā-e-zāt hameñ
agar huā hai to yuuñ jaise zindagānī huī

na hogī ḳhushk ki shāyad vo lauT aa.e phir
ye kisht guzre hue abr kī nishānī huī

tum apne rañg nahāo maiñ apnī mauj uḌuuñ
vo baat bhuul bhī jaao jo ānī-jānī huī

maiñ us ko bhuul gayā huuñ vo mujh ko bhuul gayā
to phir ye dil pe kyuuñ dastak sī nā-gahānī huī

kahāñ tak aur bhalā jaañ kā ham ziyāñ karte
bichhaḌ gayā hai to ye us kī mehrbānī huī

jawani kya hui ek raat ki kahani hui
badan purana hua ruh bhi purani hui

koi aziz nahin ma-siwa-e-zat hamein
agar hua hai to yun jaise zindagani hui

na hogi KHushk ki shayad wo lauT aae phir
ye kisht guzre hue abr ki nishani hui

tum apne rang nahao main apni mauj uDun
wo baat bhul bhi jao jo aani-jaani hui

main us ko bhul gaya hun wo mujh ko bhul gaya
to phir ye dil pe kyun dastak si na-gahani hui

kahan tak aur bhala jaan ka hum ziyan karte
bichhaD gaya hai to ye us ki mehrbani hui


Source: Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 37)

Leave a comment

+