guzro na is tarah ki tamāshā nahīñ huuñ maiñ
samjho ki ab huuñ aur dobāra nahīñ huuñ maiñ
ik tab.a rañg rañg thī so nazr-e-gul huī
ab ye ki apne saath bhī rahtā nahīñ huuñ maiñ
tum ne bhī mere saath uThā.e haiñ dukh bahut
ḳhush huuñ ki rāh-e-shauq meñ tanhā nahīñ huuñ maiñ
pīchhe na bhaag vaqt kī ai nā-shanās dhuup
sāyoñ ke darmiyān huuñ saayā nahīñ huuñ maiñ
jo kuchh bhī huuñ maiñ apnī hī sūrat meñ huuñ 'alīm'
'ġhālib' nahīñ huuñ 'mīr'-o-'yagāna' nahīñ huuñ maiñ
guzro na is tarah ki tamasha nahin hun main
samjho ki ab hun aur dobara nahin hun main
ek taba rang rang thi so nazr-e-gul hui
ab ye ki apne sath bhi rahta nahin hun main
tum ne bhi mere sath uThae hain dukh bahut
KHush hun ki rah-e-shauq mein tanha nahin hun main
pichhe na bhag waqt ki ai na-shanas dhup
sayon ke darmiyan hun saya nahin hun main
jo kuchh bhi hun main apni hi surat mein hun 'alim'
'ghaalib' nahin hun 'mir'-o-'yagana' nahin hun main
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment