Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Aleem

  • Ghazal


azab aae the aise ki phir na ghar se gae


azaab aa.e the aise ki phir na ghar se ga.e
vo zinda log mire ghar ke jaise mar se ga.e

hazār tarah ke sadme uThāne vaale log
na jaane kyā huā ik aan meñ bikhar se ga.e

bichhaḌne vāloñ kā dukh ho to soch lenā yahī
ki ik navā-e-pareshāñ the rahguzar se ga.e

hazār raah chale phir vo rahguzar aa.ī
ki ik safar meñ rahe aur har safar se ga.e

kabhī vo jism huā aur kabhī vo ruuh tamām
usī ke ḳhvāb the āñkhoñ meñ ham jidhar se ga.e

ye haal ho gayā āḳhir tirī mohabbat meñ
ki chāhte haiñ tujhe aur tirī ḳhabar se ga.e

mirā hī rañg the to kyuuñ na bas rahe mujh meñ
mirā hī ḳhvāb the to kyuuñ mirī nazar se ga.e

jo zaḳhm zaḳhm-e-zabāñ bhī hai aur numū bhī hai
to phir ye vahm hai kaisā ki ham hunar se ga.e

azab aae the aise ki phir na ghar se gae
wo zinda log mere ghar ke jaise mar se gae

hazar tarah ke sadme uThane wale log
na jaane kya hua ek aan mein bikhar se gae

bichhaDne walon ka dukh ho to soch lena yahi
ki ek nawa-e-pareshan the rahguzar se gae

hazar rah chale phir wo rahguzar aai
ki ek safar mein rahe aur har safar se gae

kabhi wo jism hua aur kabhi wo ruh tamam
usi ke KHwab the aankhon mein hum jidhar se gae

ye haal ho gaya aaKHir teri mohabbat mein
ki chahte hain tujhe aur teri KHabar se gae

mera hi rang the to kyun na bas rahe mujh mein
mera hi KHwab the to kyun meri nazar se gae

jo zaKHm zaKHm-e-zaban bhi hai aur numu bhi hai
to phir ye wahm hai kaisa ki hum hunar se gae


Leave a comment

+