Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


kufr mein bhi hum rahe qismat se iman ki taraf


kufr meñ bhī ham rahe qismat se īmāñ kī taraf
shukr hai kaaba bhī niklā kū-e-jānāñ kī taraf

kuchh asīrān-e-qafas ke baḳht hī bargashta haiñ
bū-e-gul phir phir ga.ī ulTī gulistāñ kī taraf

dekhte mar kar kisī par lutf-e-umr-e-jāvidāñ
kyuuñ ga.e ḳhizr o sikandar āb-e-haivāñ kī taraf

dekhiye kyā gul khilā.e fasl-e-gul aatī to hai
haath abhī se dauḌte haiñ jaib o dāmāñ kī taraf

rashk kahtā hai ki poñchhe hoñge us se ashk-e-ġhair
haath uTh kar rah gayā sau baar dāmāñ kī taraf

kufr mein bhi hum rahe qismat se iman ki taraf
shukr hai kaba bhi nikla ku-e-jaanan ki taraf

kuchh asiran-e-qafas ke baKHt hi bargashta hain
bu-e-gul phir phir gai ulTi gulistan ki taraf

dekhte mar kar kisi par lutf-e-umr-e-jawidan
kyun gae KHizr o sikandar aab-e-haiwan ki taraf

dekhiye kya gul khilae fasl-e-gul aati to hai
hath abhi se dauDte hain jaib o daman ki taraf

rashk kahta hai ki ponchhe honge us se ashk-e-ghair
hath uTh kar rah gaya sau bar daman ki taraf


Leave a comment

+