Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Aleem

  • Ghazal


aao tum hi karo masihai


aao tum hī karo masīhā.ī
ab bahaltī nahīñ hai tanhā.ī

tum ga.e the to saath le jaate
ab ye kis kaam kī hai bīnā.ī

ham ki the lazzat-e-hayāt meñ gum
jaañ se ik mauj-e-tishnagī aa.ī

ham-safar ḳhush na ho mohabbat se
jaane ham kis ke hoñ tamannā.ī

koī dīvāna kahtā jaatā thā
zindagī ye nahīñ mire bhaa.ī

avval-e-ishq meñ ḳhabar bhī na thī
izzateñ baḳhshtī hai rusvā.ī

kaise paao mujhe jo tum dekho
sat.h-e-sāhil se merī gahrā.ī

jin meñ ham khel kar javān hue
vahī galiyāñ huiiñ tamāshā.ī

aao tum hi karo masihai
ab bahalti nahin hai tanhai

tum gae the to sath le jate
ab ye kis kaam ki hai binai

hum ki the lazzat-e-hayat mein gum
jaan se ek mauj-e-tishnagi aai

ham-safar KHush na ho mohabbat se
jaane hum kis ke hon tamannai

koi diwana kahta jata tha
zindagi ye nahin mere bhai

awwal-e-ishq mein KHabar bhi na thi
izzaten baKHshti hai ruswai

kaise pao mujhe jo tum dekho
sath-e-sahil se meri gahrai

jin mein hum khel kar jawan hue
wahi galiyan huin tamashai


Source: Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 127)

Leave a comment

+