ḳhvāb hī ḳhvāb kab talak dekhūñ
kaash tujh ko bhī ik jhalak dekhūñ
chāndnī kā samāñ thā aur ham tum
ab sitāre palak palak dekhūñ
jaane tū kis kā ham-safar hogā
maiñ tujhe apnī jaañ talak dekhūñ
band kyuuñ zaat meñ rahūñ apnī
mauj ban jā.ūñ aur chhalak dekhūñ
sub.h meñ der hai to phir ik baar
shab ke ruḳhsār se Dhalak dekhūñ
un ke qadmoñ tale falak aur maiñ
sirf pahnā.ī-e-falak dekhūñ
KHwab hi KHwab kab talak dekhun
kash tujh ko bhi ek jhalak dekhun
chandni ka saman tha aur hum tum
ab sitare palak palak dekhun
jaane tu kis ka ham-safar hoga
main tujhe apni jaan talak dekhun
band kyun zat mein rahun apni
mauj ban jaun aur chhalak dekhun
subh mein der hai to phir ek bar
shab ke ruKHsar se Dhalak dekhun
un ke qadmon tale falak aur main
sirf pahnai-e-falak dekhun
Leave a comment