Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


KHwab aankhon mein sawali hi rahe


ḳhvāb āñkhoñ meñ savālī hī rahe
kāsa-e-ta.abīr ḳhālī hī rahe

raqs kartī ḳhvāhishoñ ke zer-e-pā
dil shikār-e-pā.emālī hī rahe

ḳhaak ho jaate lahū kī aag meñ
jism ke kuuze sifālī hī rahe

zindagī in se sivā niklī yahāñ
falsafe saare ḳhayālī hī rahe

sabza-e-maidāñ pe kab utrī ḳhizāñ
shor is kā Daalī Daalī hī rahe

chāñd niklā to ġhazab Dhā jā.egā
raat behtar hai ye kaalī hī rahe

KHwab aankhon mein sawali hi rahe
kasa-e-tabir KHali hi rahe

raqs karti KHwahishon ke zer-e-pa
dil shikar-e-paemali hi rahe

KHak ho jate lahu ki aag mein
jism ke kuze sifali hi rahe

zindagi in se siwa nikli yahan
falsafe sare KHayali hi rahe

sabza-e-maidan pe kab utri KHizan
shor is ka Dali Dali hi rahe

chand nikla to ghazab Dha jaega
raat behtar hai ye kali hi rahe


Leave a comment

+