manzar roz badal detā huuñ apnī narm-ḳhayālī se
shaam shafaq meñ Dhal jaatī hai rañg-e-hinā kī laalī se
tujh se bichhaḌ kar zinda rahnā apne sog meñ jiinā hai
dil ik phuul thā ḳhushbū vaalā TuuT gayā hai Daalī se
shahr-e-tarab ko jaane kis kī nazar lagī hai aaj kī shab
raste bhī vīrān paḌe haiñ ghar lagte haiñ ḳhālī se
duniyā vaale jis ko aksar ronā-dhonā kahte haiñ
āñkheñ dariyā ban jaatī hai jazboñ kī sayyālī se
dhūl-bhare rastoñ ke safar ne tarz-e-fikr badal Daalā
ḳhauf-zada sī rahne lagī hai ḳhāk-e-badan pāmālī se
manzar roz badal deta hun apni narm-KHayali se
sham shafaq mein Dhal jati hai rang-e-hina ki lali se
tujh se bichhaD kar zinda rahna apne sog mein jina hai
dil ek phul tha KHushbu wala TuT gaya hai Dali se
shahr-e-tarab ko jaane kis ki nazar lagi hai aaj ki shab
raste bhi viran paDe hain ghar lagte hain KHali se
duniya wale jis ko aksar rona-dhona kahte hain
aankhen dariya ban jati hai jazbon ki sayyali se
dhul-bhare raston ke safar ne tarz-e-fikr badal Dala
KHauf-zada si rahne lagi hai KHak-e-badan pamali se
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Obaid Siddiqi
RECITATIONS
Obaid Siddiqi
00:00/00:00
manzar roz badal deta hun apni narm-KHayali se
Obaid Siddiqi
Source: Book : rang-e- hava main phal raha hai (Pg. 202)
Leave a comment