Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


mujhe ab naya ek badan chahiye


mujhe ab nayā ik badan chāhiye
aur us ke liye bāñkpan chāhiye

maiñ ye sochtā huuñ asar ke liye
sadā chāhiye yā suḳhan chāhiye

bhaTakne se ab maiñ bahut tañg huuñ
zamīñ qaid kar le vatan chāhiye

nashe ke liye ik nayā shīsha ho
aur us meñ sharāb-e-kuhan chāhiye

ye āñkheñ ye dil ye badan hai tirā
tujhe aur kyā jān-e-man chāhiye

bahut tursh lagne lagī zindagī
koī mīThī mīThī chubhan chāhiye

mujhe ab naya ek badan chahiye
aur us ke liye bankpan chahiye

main ye sochta hun asar ke liye
sada chahiye ya suKHan chahiye

bhaTakne se ab main bahut tang hun
zamin qaid kar le watan chahiye

nashe ke liye ek naya shisha ho
aur us mein sharab-e-kuhan chahiye

ye aankhen ye dil ye badan hai tera
tujhe aur kya jaan-e-man chahiye

bahut tursh lagne lagi zindagi
koi miThi miThi chubhan chahiye


Source: Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 68)

Leave a comment

+