Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


duniya ko is bar fasana kar dunga


duniyā ko is baar fasāna kar dūñgā
ḳhvāboñ ko har samt ravāna kar dūñgā

in rastoñ se merī purānī nisbat hai
saath chalo to safar suhānā kar dūñgā

aa jā.egī duniyā aslī hālat par
nāfiz har dastūr purānā kar dūñgā

vo bhī kahāñ kartā hai koī va.ada puurā
maiñ bhī us se koī bahāna kar dūñgā

shāyad tum ko pata nahīñ maiñ chāhūñ to
apne haq meñ pesh zamāna kar dūñgā

duniya ko is bar fasana kar dunga
KHwabon ko har samt rawana kar dunga

in raston se meri purani nisbat hai
sath chalo to safar suhana kar dunga

aa jaegi duniya asli haalat par
nafiz har dastur purana kar dunga

wo bhi kahan karta hai koi wada pura
main bhi us se koi bahana kar dunga

shayad tum ko pata nahin main chahun to
apne haq mein pesh zamana kar dunga


Source: Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 118)

Leave a comment

+