Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


yaqinan hum ko ghar achchhe lage the


yaqīnan ham ko ghar achchhe lage the
makīñ pahle magar achchhe lage the

use ruḳhsat kiyā aur us se pahle
yahī dīvār-o-dar achchhe lage the

vo dariyā hijr kā thā tund dariyā
udāsī ke bhañvar achchhe lage the

hamāre haath meñ patthar kā aanā
daraḳhtoñ par samar achchhe lage the

sa.ūbat to safar meñ lāzmī thī
magar kuchh ham-safar achchhe lage the

vo chehre jin pe raushan thī sadāqat
lahū meñ tar-ba-tar achchhe lage the

yaqinan hum ko ghar achchhe lage the
makin pahle magar achchhe lage the

use ruKHsat kiya aur us se pahle
yahi diwar-o-dar achchhe lage the

wo dariya hijr ka tha tund dariya
udasi ke bhanwar achchhe lage the

hamare hath mein patthar ka aana
daraKHton par samar achchhe lage the

saubat to safar mein lazmi thi
magar kuchh ham-safar achchhe lage the

wo chehre jin pe raushan thi sadaqat
lahu mein tar-ba-tar achchhe lage the


Leave a comment

+