Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


bigaD kar adu se dikhate hain aap


bigaḌ kar adū se dikhāte haiñ aap
banāvaT kī bāteñ banāte haiñ aap

baḌhāne ko qisse shab-e-vasl meñ
fasāne adū ke sunāte haiñ aap

kisī ko tajallī kisī ko javāb
ajab kuchh lagāte-bujhāte haiñ aap

bigaḌne ke asbāb lāzim nahīñ
na.ī baat dil se banāte haiñ aap

na aanā thā gar aa.e kyuuñ ḳhvāb meñ
magar sote fitne jagāte haiñ aap

bañdhe kyā kisī se ummīd-e-visāl
nazar se nazar kab milāte haiñ aap

bigaD kar adu se dikhate hain aap
banawaT ki baaten banate hain aap

baDhane ko qisse shab-e-wasl mein
fasane adu ke sunate hain aap

kisi ko tajalli kisi ko jawab
ajab kuchh lagate-bujhate hain aap

bigaDne ke asbab lazim nahin
nai baat dil se banate hain aap

na aana tha gar aae kyun KHwab mein
magar sote fitne jagate hain aap

bandhe kya kisi se ummid-e-visal
nazar se nazar kab milate hain aap

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 bigaD kar adu se dikhate hain aap Fasih Akmal

Leave a comment

+