Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


honT khulen to nikle wah


hoñT khuleñ to nikle vaah
duniyā ek tamāshā-gāh

rashk-e-falak hai ye bastī
har chehra hai mahr o maah

ab ke haath vo khelā hai
daañv par haiñ izz-o-jāh

rañg bahut se aur bhī haiñ
har shai kab hai safed o siyāh

saath kisī ko chalnā hai
suujh ga.ī hai mujh ko raah

ab ke bahār kī yūrish hai
gul-būTe haiñ us kī sipāh

pāgal haiñ jo sahrā se
maañg rahe haiñ aab o giyāh

kaam hazāroñ karne haiñ
kyā kyā rakkheñ pesh-e-nigāh

us kī aamad aamad hai
dil āñkheñ haiñ chashm-ba-rāh

garmī sī ye garmī hai
maañg rahe haiñ log panāh

honT khulen to nikle wah
duniya ek tamasha-gah

rashk-e-falak hai ye basti
har chehra hai mahr o mah

ab ke hath wo khela hai
danw par hain izz-o-jah

rang bahut se aur bhi hain
har shai kab hai safed o siyah

sath kisi ko chalna hai
sujh gai hai mujh ko rah

ab ke bahaar ki yurish hai
gul-buTe hain us ki sipah

pagal hain jo sahra se
mang rahe hain aab o giyah

kaam hazaron karne hain
kya kya rakkhen pesh-e-nigah

us ki aamad aamad hai
dil aankhen hain chashm-ba-rah

garmi si ye garmi hai
mang rahe hain log panah


Source: Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 66)

Leave a comment

+