Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


main KHwab apne sare nilam kar raha hun


maiñ ḳhvāb apne saare nīlām kar rahā huuñ
aur ye bhī jaan lo ki be-dām kar rahā huuñ

is se ġharaz nahīñ hai bolī lagegī kaise
jo kaam karnā hai bas vo kaam kar rahā huuñ

vo sab kahāniyāñ jo puurī nahīñ huī thiiñ
tahrīr aaj un kā anjām kar rahā huuñ

thak-hār sā gayā thā maiñ raah chalte chalte
saaya jo mil gayā hai ārām kar rahā huuñ

sair-e-jahāñ kī fursat miltī kahāñ hai mujh ko
ab kyā batā.ūñ tum ko kyā kaam kar rahā huuñ

main KHwab apne sare nilam kar raha hun
aur ye bhi jaan lo ki be-dam kar raha hun

is se gharaz nahin hai boli lagegi kaise
jo kaam karna hai bas wo kaam kar raha hun

wo sab kahaniyan jo puri nahin hui thin
tahrir aaj un ka anjam kar raha hun

thak-haar sa gaya tha main rah chalte chalte
saya jo mil gaya hai aaram kar raha hun

sair-e-jahan ki fursat milti kahan hai mujh ko
ab kya bataun tum ko kya kaam kar raha hun


Source: Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 152)

Leave a comment

+