kyā sune koī zabānī merī
aur phir vo bhī kahānī merī
shahr sahrā kī tarah lagtā hai
rā.egāñ naql-e-makānī merī
ek chehra mire chehre se alag
ek tasvīr purānī merī
maiñ ki dariyā thā jo ab sākit huuñ
kho ga.ī mujh meñ ravānī merī
raat shabnam meñ bahut bhīgā thā
dekh ab sho.ala-fishānī merī
kya sune koi zabani meri
aur phir wo bhi kahani meri
shahr sahra ki tarah lagta hai
raegan naql-e-makani meri
ek chehra mere chehre se alag
ek taswir purani meri
main ki dariya tha jo ab sakit hun
kho gai mujh mein rawani meri
raat shabnam mein bahut bhiga tha
dekh ab shoala-fishani meri
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Obaid Siddiqi
RECITATIONS
Obaid Siddiqi
00:00/00:00
kya sune koi zabani meri
Obaid Siddiqi
Source: Book : rang-e- hava main phal raha hai (Pg. 98)
Leave a comment