Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqqash Kazmi

  • Ghazal


lamha lamha bit chuka hai ab jo tum pachhtao to kya


lamha lamha biit chukā hai ab jo tum pachhtāo to kyā
bhūlī-bisrī yādeñ sab ke aage bhī doharāo to kyā

kaun parāyā dard sameTe kaun kisī kā yaar bane
apnā zaḳhm hai apnā pyāre logoñ ko dikhlāo to kyā

pahle to tum aag lagā kar sab kuchh jaltā chhoḌ ga.e
dīvāreñ tārīk huī haiñ ab is ghar meñ aao to kyā

us kā chehra us kī āñkheñ us ke lab vo baat kahāñ
rañg-birañgī aḳhbāroñ kī tasvīreñ dikhlāo to kyā

maiñ ik aisā peḌ huuñ jis par baiTh ke sab uḌ jaate haiñ
tum bhī merī shāḳh pe aa kar baiTho aur uḌ jaao to kyā

soch kī dhuup to kyā kam hogī soch kī kirneñ aam huiiñ
raat ke saa.e mere sar ke sūraj par phailāo to kyā

toḌ ke pairoñ kī zanjīreñ maidānoñ kā azm karo
apne garebānoñ ke parcham kamroñ meñ lahrāo to kyā

apne badan ko sūrat aisī nazr-e-salīb-e-zulm karo
sone kī ma.asūm salībeñ sīnoñ par laTkāo to kyā

kyā kyā sher kiye haiñ tum ne naqsh ġhazal kī sūrat meñ
ham tum ko 'naqqāsh' kaheñge tum shā.ir kahlāo to kyā

lamha lamha bit chuka hai ab jo tum pachhtao to kya
bhuli-bisri yaaden sab ke aage bhi doharao to kya

kaun paraya dard sameTe kaun kisi ka yar bane
apna zaKHm hai apna pyare logon ko dikhlao to kya

pahle to tum aag laga kar sab kuchh jalta chhoD gae
diwaren tarik hui hain ab is ghar mein aao to kya

us ka chehra us ki aankhen us ke lab wo baat kahan
rang-birangi aKHbaron ki taswiren dikhlao to kya

main ek aisa peD hun jis par baiTh ke sab uD jate hain
tum bhi meri shaKH pe aa kar baiTho aur uD jao to kya

soch ki dhup to kya kam hogi soch ki kirnen aam huin
raat ke sae mere sar ke suraj par phailao to kya

toD ke pairon ki zanjiren maidanon ka azm karo
apne garebanon ke parcham kamron mein lahrao to kya

apne badan ko surat aisi nazr-e-salib-e-zulm karo
sone ki masum saliben sinon par laTkao to kya

kya kya sher kiye hain tum ne naqsh ghazal ki surat mein
hum tum ko 'naqqash' kahenge tum shair kahlao to kya


Leave a comment

+