Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqqash Ali Balooch

  • Ghazal


KHafi raha ya jali aalam-e-shuhud mein tha


ḳhafī rahā yā jalī ālam-e-shuhūd meñ thā
maiñ amr-e-kun se bhī pahle kisī vajūd meñ thā

kisī sadā ne barañgeḳhta kiyā mujh ko
vagarna maiñ bhī isī halqa-e-ḳhumūd meñ thā

mujhe shu.ūr diyā be.asat-e-payambar ne
phir is ke baad maiñ allāh ke junūd meñ thā

mujhe husain ne zarre se māhtāb kiyā
maiñ be-nishān tamāshā-e-hast-o-būd meñ thā

na jidd-o-jahd-e-musalsal ne soz-o-sāz-e-hayāt
misāl-e-shajr zamīñ-bos maiñ jumūd meñ thā

añdherī raat meñ nudrat milī sitāre ko
tamām roz vo Duubā huā kabūd meñ thā

talāsh-e-manzil-e-hastī meñ ḳhāk-bāzī kī
mirā maqām magar qil.a-e-umūd meñ thā

mujhe qayām ke qābil kiyā irāde ne
maiñ ek umr talak hālat-e-qu.ūd meñ thā

vo karr-o-far-e-taḳhayyul ke nāshirān to the
magar har ek numā.ish meñ yā numūd meñ thā

maiñ madd-o-jazr-e-taḳhayyul ko us ke naam karūñ
ki jis kā zikr hamesha mire darūd meñ thā

vo taḳht-e-ḳhāk pe baiThā vahī qalandar hai
ki jis ke sāmne jibrīl bhī sujūd meñ thā

matā-e-qāfila-e-ishq jab luTī 'naqqāsh'
vo mere mulk-e-sitam-kesh kī hudūd meñ thā

KHafi raha ya jali aalam-e-shuhud mein tha
main amr-e-kun se bhi pahle kisi wajud mein tha

kisi sada ne barangeKHta kiya mujh ko
wagarna main bhi isi halqa-e-KHumud mein tha

mujhe shuur diya beasat-e-payambar ne
phir is ke baad main allah ke junud mein tha

mujhe husain ne zarre se mahtab kiya
main be-nishan tamasha-e-hast-o-bud mein tha

na jidd-o-jahd-e-musalsal ne soz-o-saz-e-hayat
misal-e-shajr zamin-bos main jumud mein tha

andheri raat mein nudrat mili sitare ko
tamam roz wo Duba hua kabud mein tha

talash-e-manzil-e-hasti mein KHak-bazi ki
mera maqam magar qila-e-umud mein tha

mujhe qayam ke qabil kiya irade ne
main ek umr talak haalat-e-quud mein tha

wo karr-o-far-e-taKHayyul ke nashiran to the
magar har ek numaish mein ya numud mein tha

main madd-o-jazr-e-taKHayyul ko us ke nam karun
ki jis ka zikr hamesha mere darud mein tha

wo taKHt-e-KHak pe baiTha wahi qalandar hai
ki jis ke samne jibril bhi sujud mein tha

mata-e-qafila-e-ishq jab luTi 'naqqash'
wo mere mulk-e-sitam-kesh ki hudud mein tha


Leave a comment

+