Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


wan tabiat dam-e-taqrir bigaD jati hai


vaañ tabī.at dam-e-taqrīr bigaḌ jaatī hai
baat kī baat meñ tauqīr bigaḌ jaatī hai

chauñk paḌtā huuñ ḳhushī se jo vo aa jaate haiñ
ḳhvāb meñ ḳhvāb kī ta.abīr bigaḌ jaatī hai

kuchh vo paḌhne meñ ulajhte haiñ mirā nāma-e-shauq
kuchh ibārat dam-e-tahrīr bigaḌ jaatī hai

chāra-gar kyā mirī vahshat se junūñ bhī hai ba-tañg
roz mujh se mirī zanjīr bigaḌ jaatī hai

dāġh-e-ulfat vo burī shai hai ki kahne se 'zahīr'
mahr-o-mahtāb kī tanvīr bigaḌ jaatī hai

wan tabiat dam-e-taqrir bigaD jati hai
baat ki baat mein tauqir bigaD jati hai

chaunk paDta hun KHushi se jo wo aa jate hain
KHwab mein KHwab ki tabir bigaD jati hai

kuchh wo paDhne mein ulajhte hain mera nama-e-shauq
kuchh ibarat dam-e-tahrir bigaD jati hai

chaara-gar kya meri wahshat se junun bhi hai ba-tang
roz mujh se meri zanjir bigaD jati hai

dagh-e-ulfat wo buri shai hai ki kahne se 'zahir'
mahr-o-mahtab ki tanwir bigaD jati hai


Source: Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 203) Author : Hasrat Mohani Publication : uttar pradesh urdu academy (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+