Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqqash Ali Balooch

  • Ghazal


visal-e-yar tamanna-e-KHam hai shayad


visāl-e-yār tamannā-e-ḳhām hai shāyad
ye daur-e-hijr abhī nā-tamām hai shāyad

jabīn-e-ishq ne jaañ pahlī baar sajda kiyā
tirā nishān-e-qadam vo maqām hai shāyad

maiñ jis kitāb ko har shaam ro ke paḌhtā huuñ
mire sanam kī zabāñ kā kalām hai shāyad

tamām zer zabar pesh aur harfoñ kā
barā-e-soz-o-alam ehtimām hai shāyad

bujhā sakā na maiñ ashkoñ se dil kī ātish ko
mirā fuġhān fuġhānoñ meñ ḳhaam hai shāyad

mirī nigāh meñ jiinā sharaf se marnā hai
tirī nigāh meñ ye sab harām hai shāyad

maiñ aaj phir usī miTTī pe sajda-rez huā
mire ġhurūr kā ye iḳhtitām hai shāyad

tumhāre ishq kī rūdād sun ke lagtā hai
tire sanam kā bhī 'naqqāsh' naam hai shāyad

visal-e-yar tamanna-e-KHam hai shayad
ye daur-e-hijr abhi na-tamam hai shayad

jabin-e-ishq ne jaan pahli bar sajda kiya
tera nishan-e-qadam wo maqam hai shayad

main jis kitab ko har sham ro ke paDhta hun
mere sanam ki zaban ka kalam hai shayad

tamam zer zabar pesh aur harfon ka
bara-e-soz-o-alam ehtimam hai shayad

bujha saka na main ashkon se dil ki aatish ko
mera fughan fughanon mein KHam hai shayad

meri nigah mein jina sharaf se marna hai
teri nigah mein ye sab haram hai shayad

main aaj phir usi miTTi pe sajda-rez hua
mere ghurur ka ye iKHtitam hai shayad

tumhaare ishq ki rudad sun ke lagta hai
tere sanam ka bhi 'naqqash' nam hai shayad


Leave a comment

+