Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqqash Ali Balooch

  • Ghazal


zindagi maut ki panah mein hai


zindagī maut kī panāh meñ hai
ye haqīqat mirī nigāh meñ hai

zindagī ġham kā isti.āra hai
dard jīvan ke sāl-o-māh meñ hai

maut ke baad phir se jiinā hai
jaane kyā kyā dil-e-ilāh meñ hai

koī majnūñ kī aañkh se dekhe
kis qadar nuur rū-siyāh meñ hai

itnī raftār raushnī kī nahīñ
jitnī sur.at kisī kī aah meñ hai

mulk-e-kan.ān ġharq-e-zulmat hai
māh-e-kan.ān ab bhī chaah meñ hai

bin laḌe jañg hārne vaale
terā dushman tirī sipāh meñ hai

qabr-e-'naqqāsh' DhūñDne vaalo
merī miTTī ḳhudā kī raah meñ hai

zindagi maut ki panah mein hai
ye haqiqat meri nigah mein hai

zindagi gham ka istiara hai
dard jiwan ke sal-o-mah mein hai

maut ke baad phir se jina hai
jaane kya kya dil-e-ilah mein hai

koi majnun ki aankh se dekhe
kis qadar nur ru-siyah mein hai

itni raftar raushni ki nahin
jitni surat kisi ki aah mein hai

mulk-e-kanan gharq-e-zulmat hai
mah-e-kanan ab bhi chah mein hai

bin laDe jang haarne wale
tera dushman teri sipah mein hai

qabr-e-'naqqash' DhunDne walo
meri miTTi KHuda ki rah mein hai


Leave a comment

+