Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqqash Abidi

  • Ghazal


tumne ab sikh liya mujhko satae rakhna


tum ne ab siikh liyā mujh ko satā.e rakhnā
ek mahshar sā mire dil meñ uThā.e rakhnā

aisā karnā ki mire naam ko dil par likh kar
parda-e-zehn ko tauqīr dilā.e rakhnā

maiñ bhī rakkhūñgā tumheñ soch ke shānoñ pe savār
tum bhī siine se mirī aas lagā.e rakhnā

phir utarnā hai mujhe ḳhvāb kī gahrā.ī meñ
tum nigāhoñ meñ koī raah banā.e rakhnā

muntazir aañkh ko māyūs na hone denā
ḳhud ko ummīd ke raste pe biThā.e rakhnā

jaane kab phir se palaT aa.uuñ tumhārī ḳhātir
phuul ehsās ke gulshan meñ khilā.e rakhnā

apnī āñkhoñ kā diyā merī jabīñ par rakh kar
naam apnā mirī qismat meñ jagā.e rakhnā

tum ne ab sikh liya mujh ko satae rakhna
ek mahshar sa mere dil mein uThae rakhna

aisa karna ki mere nam ko dil par likh kar
parda-e-zehn ko tauqir dilae rakhna

main bhi rakkhunga tumhein soch ke shanon pe sawar
tum bhi sine se meri aas lagae rakhna

phir utarna hai mujhe KHwab ki gahrai mein
tum nigahon mein koi rah banae rakhna

muntazir aankh ko mayus na hone dena
KHud ko ummid ke raste pe biThae rakhna

jaane kab phir se palaT aaun tumhaari KHatir
phul ehsas ke gulshan mein khilae rakhna

apni aankhon ka diya meri jabin par rakh kar
nam apna meri qismat mein jagae rakhna


Leave a comment

+