Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqqash Abidi

  • Ghazal


yaad rakhna ek din teri zaban tak aaunga


yaad rakhnā ek din terī zabāñ tak ā.ūñgā
ḳhāmushī kī qaid se harf-e-bayāñ tak ā.ūñgā

tū yaqīñ ke aa.ine meñ dekhnā chāhegā aur
maiñ faqat ḳhush-fahmī-e-hadd-e-gumāñ tak ā.ūñgā

chhū ke tere zehn ke ḳhāmosh tāroñ ko kabhī
le ke ik tūfāñ tire dil ke makāñ tak ā.ūñgā

phir tire ehsās ke sho.aloñ meñ Dhal jā.egī raat
maiñ ubhar kar jis ghaḌī ashk-e-ravāñ tak ā.ūñgā

dastaras se tiir ban kar bhī nikal jā.ūñgā phir
jab kabhī maiñ tere abrū kī kamāñ tak ā.ūñgā

sard aahoñ meñ simaT kar shiddat-e-ehsās se
qalb kī nāzuk ragoñ ke darmiyāñ tak ā.ūñgā

itnā mat socho ki ye nāzuk rageñ phaT jā.eñgī
maiñ tumhāre zehn meñ āḳhir kahāñ tak ā.ūñgā

yaad rakhna ek din teri zaban tak aaunga
KHamushi ki qaid se harf-e-bayan tak aaunga

tu yaqin ke aaine mein dekhna chahega aur
main faqat KHush-fahmi-e-hadd-e-guman tak aaunga

chhu ke tere zehn ke KHamosh taron ko kabhi
le ke ek tufan tere dil ke makan tak aaunga

phir tere ehsas ke shoalon mein Dhal jaegi raat
main ubhar kar jis ghaDi ashk-e-rawan tak aaunga

dastaras se tir ban kar bhi nikal jaunga phir
jab kabhi main tere abru ki kaman tak aaunga

sard aahon mein simaT kar shiddat-e-ehsas se
qalb ki nazuk ragon ke darmiyan tak aaunga

itna mat socho ki ye nazuk ragen phaT jaengi
main tumhaare zehn mein aaKHir kahan tak aaunga


Leave a comment

+