nigāh-e-qahr-parvar ko bhī tamhīd-e-ḳhushī samjhe
samajhnā hai to koī ham se rāz-e-zindagī samjhe
vafāoñ kā natīja ham to jo kuchh hai samajhte haiñ
magar ai kaash anjām-e-jafā vo bhī kabhī samjhe
use dair-o-haram meñ jāzbiyyat kyā nazar aa.e
jo terī diid ko asl-e-mazāq-e-bandagī samjhe
hameñ to ḳhair jo kuchh aap ne chāhā vo samjhāyā
magar ye to zarā samjhā.iye kuchh aap bhī samjhe
bhalā 'naḳhshab' tire is be-niyāzāna ravayye ko
kamāl-e-qurb jaane yā mohabbat kī kamī samjhe
nigah-e-qahr-parwar ko bhi tamhid-e-KHushi samjhe
samajhna hai to koi hum se raaz-e-zindagi samjhe
wafaon ka natija hum to jo kuchh hai samajhte hain
magar ai kash anjam-e-jafa wo bhi kabhi samjhe
use dair-o-haram mein jazbiyyat kya nazar aae
jo teri did ko asl-e-mazaq-e-bandagi samjhe
hamein to KHair jo kuchh aap ne chaha wo samjhaya
magar ye to zara samjhaiye kuchh aap bhi samjhe
bhala 'naKHshab' tere is be-niyazana rawayye ko
kamal-e-qurb jaane ya mohabbat ki kami samjhe
Source: Mashal-e-raah
Leave a comment