Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nakhshab Jaarchawi

  • Ghazal


aap to ghabra gae betabi-e-dil dekh kar


aap to ghabrā ga.e betābī-e-dil dekh kar
kyā kaheñge banda-parvar ahl-e-mahfil dekh kar

maiñ to huuñ parda-e-āġhosh-e-tūfān-e-fanā
ḳhud Dubo detā huuñ kashtī qurb sāhil dekh kar

ik nigāh-e-lutf kī muhtāj hai tāmīr-e-ishq
aap kyuuñ ghabrā ga.e TuuTā huā dil dekh kar

vo bhī 'naḳhshab' be-ḳhudī-e-dil se āsāñ ho gayā
dard jo baḳhshā gayā thā ham ko mushkil dekh kar

aap to ghabra gae betabi-e-dil dekh kar
kya kahenge banda-parwar ahl-e-mahfil dekh kar

main to hun parda-e-aghosh-e-tufan-e-fana
KHud Dubo deta hun kashti qurb sahil dekh kar

ek nigah-e-lutf ki muhtaj hai tamir-e-ishq
aap kyun ghabra gae TuTa hua dil dekh kar

wo bhi 'naKHshab' be-KHudi-e-dil se aasan ho gaya
dard jo baKHsha gaya tha hum ko mushkil dekh kar


Source: Mashal-e-raah

Leave a comment

+