Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najmus Saqib

  • Ghazal


jhil mein bahte phul kanwal ke jhuTe the


jhiil meñ bahte phuul kañval ke jhūTe the
ḳhvāb jo ham ne mil kar dekhe jhūTe the

maiñ hī TuuT ke bikhrā aur na royā vo
ab ke hijr ke mausam kitne jhūTe the

jin kī ḳhātir tum ne mujh ko chhoḌ diyā
farz karo ki vo andeshe jhūTe the

vīrāñ ghar kī tārīkī meñ tanhā ḳhvāb
itne sachche kab the jitne jhūTe the

dil ko aaj tasallī maiñ ne de Daalī
vo sachchā thā us ke vaade jhūTe the

bahte dariyā kī vo lahreñ sachchī thiiñ
naav māñjhī aur kināre jhūTe the

jañgal jañgal ghuum ke maiñ ne dekh liyā
guzre vaqtoñ ke shahzāde jhūTe the

jhil mein bahte phul kanwal ke jhuTe the
KHwab jo hum ne mil kar dekhe jhuTe the

main hi TuT ke bikhra aur na roya wo
ab ke hijr ke mausam kitne jhuTe the

jin ki KHatir tum ne mujh ko chhoD diya
farz karo ki wo andeshe jhuTe the

viran ghar ki tariki mein tanha KHwab
itne sachche kab the jitne jhuTe the

dil ko aaj tasalli main ne de Dali
wo sachcha tha us ke wade jhuTe the

bahte dariya ki wo lahren sachchi thin
naw manjhi aur kinare jhuTe the

jangal jangal ghum ke main ne dekh liya
guzre waqton ke shahzade jhuTe the

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 jhil mein bahte phul kanwal ke jhuTe the Nomaan Shauque

Leave a comment

+